Geet - Nirmal Prem

Tuesday 4 September 2007.
 

1

 
Kaise vyakt karen hey Maa! Tera yeh Nirmal Prem.
Bhool gaya mai yeh jag sara, hua pulkit rom-rom.
 

2

 
Bhatak gaya tha panth, mai balak nadan.
Kho gaya tha bhool bhulaiya me, par tune liya pahchan.
 

3

 
Ulajh gaya tha beech bhanwar me, asahay ho kar tujhe pukara.
Har baar aaarat ko diya tune sahara.
 

4

 
Hey karunamayi Maa! Tune ubara, divya-prem me nahalaya.
Sinch kar premamrit, puchakara aur sahalaya.
 

5

 
Pran saman apane tune, mujhko rakha sambhal.
Phir ab bhay kaisa, kare jo tu mera dekh-bhal.
 

6

 
Band hui sisakiyan meri, ab tera Nirmal Prem paya.
Isiliye hriday mera, tere prem ka geet gaya.

English



Forum