Sahaja Yoga Ki Mahima - 2

Sunday 30 January 2005.
 

22

Sahaja yog ki mahima,aganit amit apar. Chhudra manav-mastishka bhala, kaise paye par.

23

Ved-Puran, upanishad,kar na sake bakhan. Shaarad Sesh Mahesh bhi, karate hain gungan.

24

Gyan Bhakti Karma yoga, Kriya Raj Hath Yog. Sab yogon me sahajayog, hi hai Mahayog.

25

Sahaja yog me Hari mile, sahaja yog me aay. Sahajayog se dusara aur na anya upay.

26

Kyon bhule ho sansar me, kar lo apane kalyan. Sahajayog me sahaj hi milte Shri Bhagwan.

27

Maa Nirmala ke prem ki, sahajyog hai Ganga. Sakal vishwa ko tarne aayi hain Vishwa Ganga.

28

Parmatma ki srishti sahaj, sahaj srishti ka gyan. Sahajyog "Antim-Nirnay", sahaj satya ko jaan.

29

Aao swechchha se karen, sahajyog ka varan. Sahajyog hi ’Utkranti" ka, hai antim charan.

30

Maa Nirmala ke prem ki, sahajyog hai den. Sahajyog hi sab ko dega sukh chain.

31

Umra linga varna dharm, desh jati anek. Bal vriddha yuva nari nar, matri-prem me ek.

32

Sahajayog vartman me, sab mangalon ka mool. Sab bhav-badha hare, mit jaye-jivan shool.

33

Dukh-dard vyadhi bhav-rog ki, dava hai Ram-baan. Apna kar sahajyog, Kar lo apane kalyan.

34

Sahajayog jivan raksha ki, ek matra paramoushadhi. Bhasm ho jate virus sab, badh jati jivanavadhi.

35

Chaitnya-chetna chaitnya-lahren, sahajyog ki den. Tan man bhaon ko shuddha kar, deta yeh sukh-chain.

36

Parmanu-yuddha ka nirantar, manavata ko hai bhay. Keval sahajayog hi sabko, de sakata hai aashray.

37

Jad-vigyan ki pragiti ati, manav aham na samat. Par mahasagar ke samne, boond ki kaun visat.

38

Kshamata chaitnya-laharon ki, hai asim apar. Anvik-vikiran sab, pal me honge kshar.

39

Pani ka bulbula, hai tera abhiman. Phat jayega pal me, mulya samay ka jan.

40

Sahajayog me hi, "Swa" se hota pahichan. Swa se badh kar nata, koi na jag me aan.

41

sahajyog se sahaj me, mit jata viyog. Prashna hin ho jate sab, hota Swa se jab yog.

42

Jhuthi jag ki baten, mithya jag vyavhar. Sahaj satya ki nav se, ho bhav-sagar par.

43

Jag ki chamak-damak me, jao mat bhool. Hai bahar keval bhatkao, bhiter jivan mool.

44

Vyarth na jane de bande! yeh jivan anmol. Sinch kar matri-prem se, de isme amrit ghol.

45

Kaise samujhawen tujhko, kyon bante anjan. Sahaj-nihit satya me, hai tera hi kalyan.

46

Aaya ant Kaliyug ka, Satyug ka hua bihan. Jagi-navchetna ab, jivan bana mahan.

47

Sahajyog chetna ka, hai prayog adbhut. Karte ricord Param ka, Vigyani-jivan mukt.

English



Forum