Samuhikata

Wednesday 11 May 2005.
 

1

 
Taj diya Braj-vasiyon ne,
Jab Indra ki pooja.
Sah na saka yeh apaman,
Hua kupit Devon ka Raja.
 

2

 
Badal garaje bijaliyan chamakin,
Vristhi musaladhar hui.
Indra ke Vajra ki Braj par,
Prabal prahaar hui.
 

3

 
Mach gaya hahakar,
Gwal-baal sab ghabaraye.
Ubaro is bhishan sankat se hey Prabho!
Shri Krishna ki sharan me aaye.
 

4

 
Tab Goverdhan Girdhari ne,
Sab ko yeh yukti batai.
Goverdhan hi rakshak sab ka,
Goverdhan ki sharan me jayen bhai.
 

5

 
Baat yeh gwal-balon ki,
kuchh samajh na aai.
Parvat ko uthana sambhav,
Hoga kaise krishna Kanhai?
 

6

 
Tab Gopal Krishna ne sab ko,
Samuhikata ki shakti batai.
Mil jul kar prayas karen to,
Kisi kaam me kyon hogi kathinai.
 

7

 
Phir jut gaye sab uthane parvat ko,
Mil jul kar jor lagai.
Uth gaya Giriraj upar,
Gwal-balon ne panah pai.
 

8

 
Bayen haath ki kanishth anguli se,
Prabhu ne sab bhar uthai.
Parmatma ke prem ki shakti anant,
Hrudaya se ho kar bahati aai.
 

9

 
Akhil-Brahmand ke dharta ne,
Goverdhan ko tinke ki bhati uthai.
Hua choor ahankar Indra ka,
Prabhu ne sab ki jaan bachai.
 

10

 
Chhod kar sab sahare,
Prabhu ki sharan jo jate hain.
Pa kar ananya-prem Prabhu ka,
Bhav-bhay tras se bach jate hain.
 

11

 
Beeet gaya jo woh,
Yadyapi ab itihaas hai.
Phir bhi Vartman me,
Deta hamko aabhas hai.
 

12

 
Bhoot-kaal ki baten sab ko ,
Sahaja sanket deti hain.
Aapadawon ko mil kar karo samana,
Jivan me sahas deti hain.
 

13

 
Tyag do indriyon ki puja,
Goverdhanvat Atma ka utthan karo.
Atma ki shakti anant hai,
Pidit manavata ka kalyan karo.
 

14

 
Vartman me sari duniyan par,
Badal sankat ke chhayen hain.
Danvi-shaktiyon ne har sansthanon me,
Dhak apani jamayen hain.
 

15

 
Vinash ki shaktiyan sab ,
Hathon me unke aayi hain.
Samajh-boojh se marg chune ab,
Ho jisme sabki bhalai hai.
 

16

 
Parmatma ne manavata ko,
Sahaja upay batai hai.
Sahaja yoga apana kar,
Jayen Prabhu ki sharanai hai.
 

17

 
Samast sankaton se sabko,
Sahaja yoga hi bachayega.
Prabhu ka antim nirnay yeh,
Samuhik chetna layega.
 

18

 
“Maa Nirmala” hi sab ki trata,
Goverdhan Girdhari hain.
Sabhi shaktiyon ki janani,
Adi Shakti Mata hamari hain.
 

19

 
Ho kar sharanagat Shri Maa ke,
Sahaja ki chhatra-chhaya me aao.
Atma ka uddhar karo,
Aur Anant-Jivan pao.
 

AUM TWAMEV SAKSHAT SHRI RADHA KRISHNA SAKSHAT SHRI ADI SHAKTI MATAJI SHRI NIRMALA DEVYAIH NAMO NAMAH.

English



Forum