Vijay-Yatra

Wednesday 9 March 2005.
 

1

Huye agrasar aaj ham, le kar hath mashal.
Pichhe hatana ab kaisa, aage ki hai yeh chal.
 

2

“Jai Nirmala Ma” ki dhwani se, goonj raha aakash.
Jyoti se jyoti jale, phail raha prakash.
 

3

Andhakar se ladane ko, ho jao ab taiyar.
Ho kar alag andhere se, kar sakate us par war.
 

4

La denge jan-manas me, adbhut apurva inqalaab.
Sat-rangi roshni ka, aaya ab sailaab.
 

5

Jan-samanya ki chetna me, aai aadhyatmik kranti.
Parda-phash hua jhooth ka, door hui sab bhranti.
 

6

Shakti jagi nav-chetna ki, hua tam ka nash.
Sanshay-bhay bhag gaye, phaila pavitra prakash.
 

7

“Sahaja” ki kranti se de do, jivan-dhara ko mod.
Apana lo nav-chetna ab, purani ko do ab chhod.
 

8

Jivan ki utkrinti ka, hai yeh antim charan.
Aage hi badhate chalo, karane “Atma” ka varan.
 

9

Kaam aage badhana viron ka, pichhe hatate kayer.
Laga kar baazi jan ki, karate achuk fire.
 

10

Pavan pavitra is marg me, rode khade anek.
Adamya saahas shakti se, de do inko phenk.
 

11

Painth gaye hain anter me, videshi shatru anek.
Nirdayata poorvak inko, bahar do tum phenk.
 

12

“Atma” ke marg me, ada aham ka pahad.
Atma-shakti atul hai, de do inhe pachhad.
 

13

Virat ki Shakti Viratangana, “Maa Nirmala “ ki jay.
Sanshay kis baat ka, hogi teri hi vijay.
 

14

Vijay-yatra ka hoga kitna sukhad ant.
Prabhu ke samrajya me, milega jivan anant.

English



Forum