On Mother’s Arrival

On the eve of Mother’s arrival
Friday 8 September 2006.
 
AAISE SUNDER SUHANEE YE RAAT HO, SHREE MAA KE AAGMAN KEE BAAT HO
HAR PAL JIS MEIN BHEEG JAYEN, AAISE PREM KI BARSAAT HO
 
NIRANAND BHI BEH JAYE, JISE PEE KI MAGAN HO JAYE
CHAHE SO JAYE JAG SARA, PAR SAHJI SAB UTH JAYE
MAA KE CHARNO MEIN BAITH KAR, HUM DHYAN MEIN KHO JAYEN
CHAITNYA KA TOOFAN AAYE, SAB AVGUN BAHA LE JAYE
AAISE MILAN KI LAMBI RAATHO, JISKE KAABHI NA PHIR PARBHAT HO
 
AAISEE SUNDER SUHANEE ...
 
SAHJI SAB MILNE AAYE, DEVTE BHI PHOOL BARSAYE
CHANDNI BHI RAAH DIKHAYE, PAVAN SANGEET SUNAYE
MAA KEE ANKHON MEIN PREM KE AANSOO, CHEHRE PE MADHUR MUSKAAN HO
 
AAISEE SUNDER SUHANEE ...
This poem was written when Mother was scheduled to arrive in Mumbai on April 15th 2006, en route from London to Pune.



Forum