Sahaja Yoga Ki Mahima - 1

Friday 28 January 2005.
 

1

Gyan vigyan me shreshtha hai, sahajayog ka gyan.
Atma tatwa ka gyan yeh, sab vigyanon ka gyan.
 

2

Sab kuchha hai mithya, swapna jagat abhiman.
ATMA hi satya hai, keval tu usko jaan.
 

3

Sahaja yog se Atma mile, mile srishti ka gyan.
Kar vishwas jo kare, hota uska kalyan.
 

4

Nirmala vidya satya hai, kar le tu vishwas.
De jivan ka arth yeh, kare klesh ka nash.
 

5

Jivan ka sachcha aanand, sahajayog me samay.
Anant aanand ke aagar ko, kyon na luten aay.
 

6

Mukti ka sumarg yeh, deta Atma-sakshatkar.
Sahaja prem ki nav se, ho bhav-sagar par.
 

7

Sahaja yog ki nav se, baith ke jao par.
Is par baithe pachhataoge, aaye na awasar har bar.
 

8

Na karo ab der bandhu! samay bitata jay.
Dosh apane ko devge, pichhe rahoge pachhatay.
 

9

Daan-dakshina, vrat aru, jap tap yagya yog.
Karma-kand tirthatan ab, kyon karate hain log.
 

10

Sahaj me Hari mile, sahaja yog me aay.
Sahajayog se dusara, aur na anya upay.
 

11

Mandir maszid girija, is tan ko hi jaan.
ATMA hi Parmatma, aur na dujo bhagwan.
 

12

Sab dharmon ka ab, sahajayog hai dharm.
Manyatayen badal gai, badal gaye ab karm.
 

13

Jo rulaye nachaye vastra chhine, badale vastron ka rang.
Dharm vah hai nahin, hai aadambaron ka hi ang.
 

14

ATMA ka darshan karaye, vahi hai sachcha dharm.
VISHWA-NIRMALA-DHARMA hi, hai aaj ka Yug dharm.
 

15

Mohammed, Mahavir, Nanak, Jesus, Buddha, Ganesh.
Sahaja me hi mile, Brahma, Vishnu, Mahesh.
 

16

Laxmi, Gauri, Mary, Kali, Durga, Jagdamba.
Radha, Sita, Saraswati, Bhavani hi hain NIRMALA Amba.
 

17

Sahaja yoga se hoyega, manavata ka kalyan.
Aur na dusra rasta, sahaj satya ko jan.
 

18

Purjan parijan samanyajan, kar sakate yeh yog.
Sahajayog ke niyam sahaj, hote nahi bhav-rog.
 

19

Sahajayog se sab mite, daihik daivik bhav-rog.
Doctor Hakim Guru apane, ban jate hain log.
 

20

Dhumrapan aru madyapan se, hote log behosh.
Prem pan kar sahaj me, aa jata hai hosh.
 

21

Apane anubhav ke ansh ko, dete hain batlay.
"Prabhu ka Antim Nirnaya" yeh, bhali-bhanti samujhay.

English



Forum