Samay Chitta Prakash

Friday 21 September 2007.
 
JSM !
 
Samay ka Pahiya badhata Jaye
Chitta nirantar bhatakte jaye
De Adishakti Yah vardaan
Ho jaye Chitta antardhyan.
 
Maa ne Kaliyug me Chaitanya ka pravah badhaya he,
Yogiyo ko satya ka sahaj path dikhlaya he
kiya marg prashast satyug ka
prithvi par Avtaar liya mahatva ka.
 
Is samay ki Mahatta ko hum Jane
kuch na karke bhi sab kar dale.
 
De Ma baccho ko ye vardan,
Chute vyartha ka lobh abhimaan,
Nirmal kar hamari kaaya,
Jis par na pade Jhooth ki Maya
Hardam rahe tere pyar ka Saya.
 
Sahaja-saral ho jaye ab, lakshya rahe shiv-tatva
Is andolan me Bhaag lekar Badhe sabka Mahatva.
 
Sabhi Devta tere Gun gaye, hum bhi unki jamat me aye,
Diya dharma ko tune sahara, Brahmaand bacha tera ye saara
 
Kiya nahi kabhi tune apne baccho me antar,
Yahi he tere pyar ka parichay jo bahata he nirantar.



Forum