Shivananda

Dhyaan
Wednesday 12 April 2006.
 
Samast yahan pe thama hua hai,
Ek raah fir chale ja raha hun,
prem ke sagar mein naha ke,
Maun ko ab dyaa raha hun.
 
Shanti itni ho prachand ke,
Shoor ko pighalta sa main paun,
Vistaar pe is brahmand ke,
Swayam ko main vistrit sa paun.
 
Kya kahun ke shabdun ka,
ab astitwa is jivya pe na paun,
Brahmananda ko Niranand pe,
Atma ko Param-atma mein paun.
 
Panch tatwa se hui udgam,
is mitti ko bas dhoota main jaun,
ho samagam Shiv mein mera,
Shiv-shakti se main dhayata jaun.

English



Forum