Maryada

Monday 9 May 2005.
 

1

Maryada Purushottam Shri Ram ki,
Lila kitni nyari hai.
Prabhu ki jivan-gatha paavan,
Jan-jan ko aati pyari hai.
 

2

Jivan ke har modha par Prabhu ne,
Aadarsh roop dikhaye hain.
Aadarsh Raja Ram bane,
Sab manav sambsndh nibhayen hain.
 

3

Maryada ke rakshak Prabhu ne,
Aadardhon ka nirman kiya.
Manav-sambandhon ka samman kiya,
Manavata ka kalyan kiya.
 

4

Purjan parijan samanyajanon se,
Madhur bhara vyahaar kiya.
Sab ko such-santosh diya,
Jan-jan ka uddhar kiya.
 

5

Ahilya ko tara,
Kevat ko gale lagaya hai.
Shabri ke ber khaye,
Prem-vash bhakton ko apanaya hai.
 

6

Sita ka haran hua jab,
Virah-vyatha se bhar aaye hain.
Latikayon van-vrikshon se puchh-puchh kar,
Karuna ke aansu bahaye hain.
 

7

Jatayu ko kanth lagaye,
Prem-ashru Prabhu ke bhar aayen hain.
Sugriva se kari mitrata,
Hanumaan ko hrudaya lagaye hain.
 

8

Vanar-sena ki madad se,
Sagar me pul bandhwaye hain.
Ravan sahit rakshon ka sanhar kiya,
Vibhishan lankesh banaye hain.
 

9

Siya-sahit Pushapak viman se,
Wapas Awadhpuri aaye hain.
Jan-jan me harshollas bhare,
Aanand apurva manaye hain.
 

10

Jan-jan ke such-data Prabhu ne,
Sevakon ka samuchit satkar kiya,
Angad sahit vida kiya sabko,
Yatha-uchit uphaar diya.
 

11

Prabhu ki jivan-gatha anupam,
Manavata ka pran hai.
Shri Ramchandra ka charitra sabko,
Dukhon se deta tran hai.
 

12

Raj-sinhasan par virajman,
Shri Sitaram ka dhyan karo.
Sab bandhu sahit sushobhit,
Shri Hanuman ka aahvan karo.
 

13

Ghat-ghat me Shri Ram basat hain,
Sab ke ananya sahaj saath hain.
Pitu-matu sahayak Shri Sitaram,
Sab ananathon ke nath hain.
 

14

Shri Ram sadrish ban kar,
Sachchritra ka nirman karo.
Sahaja yoga aapna kar ab,
Manavata ka kalyan karo.
 

15

“Vishwa Nirmala Dharma” hi swadharma,
Sabme sam-bhav sikhata hai.
Oonch-neech ka bhed bhula kar, Atma ka gyan karata hai.
 

16

Sahaja yoga me Shri Ram milat hain,
Maryada aadarsh sikhate hain.
Matri-prem ka sandesh dete,
Bhulon ko raah dikhate hain.
 

17

Vartman me sahaja yoga,
Swadharma me jina sikhalata hai.
Sab dukhon se mukt ho jata,
“Maa Nirmala” ki sharan jo jata hai.
 

18

Dhanya dhanya Bharat bhumi,
Jahan Prabhu ka avatar hua.
Hua pavitra kan-kan jiska,
Jan-jan ka uddhar hua.

OM TWAMEV SAKSHAT SHRI SITARAM SAKSHAT SHRI ADI SHAKTI MATAJI SHRI NIRMALA DEVI NAMO NAMAH.

English



Forum