Kshma-Prarthana

Tuesday 5 April 2005.
 

1

Maa, ho tum Nishkalanka, sab kalank mujh mahin.
Tate karun samarpan tujhko, de daya drishthi ki chhahin.
 

2

Tere hi dekhate maine, avagun kiye anek.
Par tune kabhi na roka, meri ab yeh tek.
 

3

Hath pakad kar mera, le chal apane saath.
Bar-bar pad-kamalon par tere navaoon apane math.
 

4

Koi nahin nata jag me, tere bin suna sab sansaar.
Dinon ki nath tum, tum hi ho aadhar.
 

5

Maa, Ho tum karunamayi, kato sab bhav-pasha.
Tujh bin kaun kare hey Maa! puri hamari aasha.
 

6

Sab avagunon ka tokra hai mujh mahin.
Kaise bhent karun tujhko, ati sankoch man mahin.
 

7

Kalianaag ne ki vinti, diya vish ka fufkar.
Prem vash Shri Krishna ne liya usko bhi swikar.
 

8

Jag me kya kamaya, paya paap hazar.
Hey paap-vimochini Maa! karo sab paapon ka kshar.
 

9

Maa, ho tum Nirmala,prem-vatslya ka kosh.
Haran karo hey Maa, ham sab ke sab dosh.
 

10

Maa, tere aagaman se, jag me hua ujala.
Mritkon me jaan aai, pi kar amrut ka pyala.
 

11

Hey Maa! Tum sam hit nahin, mujh sam nahin deen.
Teri karuna me mila, jiva mujhe navin.
 

12

Naa mangun Maa dhan-daulat, na hi maan-samman.
Hey Maa! Pad-kamalon per tere, de bhakti vimal vardaan.

English



Forum