Satya Ki Parakh

Sunday 3 April 2005.
 

1

Mahatwa bada hi Kaliyuga ka, Asli- nakli ki pahichan karata hai.
Dhoka-dhadi golmaal ke beech, Sach ka gyan karata hai.
 

2

Kalai nakli ki khul jati hai, Bhanda jhooth ka phoot jata hai.
Parda-phash ho jata uska,
Sab swapna-jaal tut jata hai.
 

3

Jhoothi aadhyatmikta wale,
Chamatkar aaj dikhalate hain.
Bholi-bhali janata ko,
Jooth-mooth me bahalate hain.
 

4

Maharshi, Saibaba, Shankaracharya, Ammaji,
Brahmachari, Bhagwan dikhai date hain.
Balayogi, Swami ji, Maharaj,
Ek se ek mahan dikhai dete hain.
 

5

Aaj anekon chamatkari,
Vyaktitwa dikhai dete hain.
Jan-sadharan ko thagne wale,
Kitne hi astitwa dikhai dete hain.
 

6

Asadharan tana bana pahne,
Vyakti vishisht ye lagate hain.
Anuwaiyon se ghire huye,
Bade soumya shishth ye lagate hain.
 

7

Bhagwe vastra pahan kar,
Kuchh sanyasi baba ban jate hain.
Mukh me to Ram-Ram ratate,
Par bagal me chhuri dabate hain.
 

8

Jhooth fareb jaal-saji ke,
Karname ye karwate hain.
Adhyatma ke naam par ye, Logon ke maal hathiyate hain.
 

9

Jan-kalyan ke naam par vidyalaya,
Haspatal khulwate hain.
Satya- dharm ki aad me, Karoron ki sampti banate hain.
 

10

Jhooth-kapat chhal-chhadma ke,
Bhed jab khul jayenge.
Kalnemi, Ravan, Rahu jaison ke,
Daal na gal payenge.
 

11

Kuchh atindriya shakti wale,
Karishme anek dikhate hain.
Par kalyan jan-sadharan ka,
Kya ve kar pate hain.
 

12

Phir bhi sammohit ho kar kuchh log,
Sarvaswa un par lutate hain.
Kho kar atm-samman ve,
Baad me pachhatate hain.
 

13

Man ki shakti se koi, Bhari padarth khiskata hai.
Koi aag par chalta to koi,
Nav bin Nadi paar jata hai.
 

14

Koi hawa me udata to, Koi aarpaar deewar dikhata hai.
Koi dhwani sunta bhuton ke,
To koi door maar karata hai.
 

15

Is se manavata ka kya,
Kabhi bhala ho paya hai?
Bhookh-mari, garibi bekari, bimari.
Kya door is se ho paya hai?
 

16

Jan-sadharan ko swayam hi, Nirnay ab karana hai.
Apani samajh-boojh se,
Vinay Prabhu se karana hai.
 

17

Asli phool khilte hain,
Isiliye plastic phool banaye hain.
Nakal naisargikta ka kar ke, Kritrim Hrudaya banaye hain.
 

18

Sachche dil se prarthana karte ham,
Hey Prabhu! hame yeh vardaan do.
Vivek buddhi sahajata do,
Sach ka hamko gyan do.
 

19

Is confusion bhari duniyan me.
Haath hamare mashal do.
Sahaja marg par chalne ki ,
Shakti do kamal do.
 

20

Mahatma Isa ki chetavni par,
Punah dhyan ab aaya hai.
“Sach ki parakh” karane ka,
Antim awasar ab aaya hai.
 

21

Koi yadi kahe marubhumi me usne,
Darshan Isa ka paya hai.
Saath apane chalne ko,
Auron ko bhi uksaya hai.
 

22

Koi kahe garbh-grih me,
Nivas Prabhu Yeshu karte hain.
Koi kahe mere saath chalo,
Viyabaan me Prabhu vicharte hain.
 

23

Vishwas na karna in chhadma- veshiyon ka,
Kyonki prakash purva se aata hai.
“Atma-sakshatkar-dayini” is Kaliyug me,
Keval ek “Nirmala Mata” hain.
 

24

Par bhram me rahane wale,
Prakash me bhi dekh na pate hain.
Jhooth ko sach samajhate,
Sach ko jhooth banate hain.
 

25

Sach ko khojne wale dridh nishchyi,
Sach ko avashya pa jate hain.
Jhooth ki oer jane wale,
Jhoote hi ban jate hain.
 

26

Jhooth aur sach me keval,
Bhed yahi hota hai.
Pardaphash jhooth ka ho jata,
Jay jai satya ka hota hai.
 

27

Atmasakshatkari ke samaksh,
Sab bhram-jaal kat jate hain.
Prakash ke aagman se jaise,
Andhakar hat jate hain.
 

28

Neer-Kshir vivek Karen.
Hey Ma! Anupam ham ko apna pyar do.
Sab chamatkaron ka chamatkar,
Hamko “Atma-sakshatkar” do.

English



Forum