Joys Of Collectivity And Surrender !

Friday 11 February 2005.
 
Samoohik chetna ki dhara mein ham sab jab lagne lagenge tair
Na rahega koi dooja, naa rahega koi gair.
Apne hee khud ki khudike bandhse jab ham niklenge baahar
Apne aham ke siva kuch na karna hoga hame nyochhavar!
Kyon chhoti chhoti simit mein rahe ham sab hoke kaid
Jab sagar aseem pasaar raha hai hamaari saamne apna ved.
Bahot hua yaha akelapan!
Bahot hua yaha swarthipan!
Tod do sab bandhanoko jo manav-manav mein kare daraar
Sab ko ek hee nazaryese dekho, phir dekho kaise panapta hai pyaar.
Sahaja Yoga ki dein hai yeh ki sahaja hee hota hai yaha karya,
Maa Nirmal ko karke arpan, nischit sab hoga anivaarya !



Forum