Nakkalon Se Savdhan

Thursday 7 April 2005.
 

1

Kaliyug me Satyug, kar asali-nakli ki pahichan.
Neer-kshir vivek kar, ho nakkalon se savdhan.
 

2

Har taraf pralobhan ka, bichha hua hai jaal.
Shaitani-phande ko tod kar viphal karo sab chal.
 

3

Mrig-marichika dhoka, pralobhan maya-jaal.
Atma bali ke samne, gale na inki daal.
 

4

Balyogi Brahmachari Sadhu, Sai Baba, Maharshi Bhagwan.
Pande-pujari Ammaji Shankaracharya, Dhongi guruon ka hai maan.
 

5

Nahin suna kabhi bhi, de sakate ye Atm-sakshatkar.
Bholi-bhali janata ka, phir kaun kare uddhar.?
 

6

In chamatkarion se, hota nahi jan-kalyan.
Apane hi aham ka ye, khul kar karen bakhan.
 

7

Padasin logon ke bal se, chalte inke vyavsay.
Sadharan janta ko bhi, rahen hain ye bahkay.
 

8

Jhooth-mooth aru chhal-kapat ka, chal raha vyavsay.
Sahaja satya ke samne, sab kuchh saaf dikhay.
 

9

Dhongi guru lalchi chelon se, na karo kabhi bhi mel.
Sidhe-sidhe nark me, dete hain ye dhakel.
 

10

Sarva-sadharan ko chahiye, Karen kapat ka bahishkar.
Sahaja yoga apna kar, pa len atm-sakshatkar.
 

11

Atm-sakshatkar karaye, de satya-dharma ka gyan.
Sad Guru Parbrahma Parmeshwari, Maa Nirmala ko jaan.
 

12

Apane aap ko shrighra hi, kar lo bhram-mukt.
Jaldi hi jaag ja, mat ban tu sust.
 

13

Satyug ke aate hi, ja raha Kaliyug bhaag.
Sote na raho nind me, aage jana hai to jaag.
 

14

Yug parivartan ko bhanp kar, ho ja tu taiyar.
Aage yatra ati sukhad, chhod de aur vichar.

Param Pujya Shri Mataji Nirmala Devi ke Charan-Kamalon par hamara barambar pranam. Shri Mataji ne hame yeh Gyan diya. Shri Mataji! Apko anekanek Dhanyavad.

English



Forum